Sunday, November 23, 2008

tum chalay gayay aur tasweer tumhari reh gai


tum chalay gayay aur tasweer tumhari reh gaikehnay waali thin jo baateyn wo saari reh gai
tumhari yaad ne kal shab bohot sataaya mujhemeri aankhon may dekho kaysi khumaari reh gai
ibteda-e-ishq may yun garm hue thay magar abshola-e-jaan sard hua, bas ik chingaari reh gai
huaa jab ilm, kay wo aaj bhee nahee aayayhusn aur ishq kee [...]

tum chalay gayay aur tasweer tumhari reh gai
kehnay waali thin jo baateyn wo saari reh gai


tumhari yaad ne kal shab bohot sataaya mujhe
meri aankhon may dekho kaysi khumaari reh gai


ibteda-e-ishq may yun garm hue thay magar ab
shola-e-jaan sard hua, bas ik chingaari reh gai


huaa jab ilm, kay wo aaj bhee nahee aayay
husn aur ishq kee saaree tayyaaree reh gai


nazar miltay hi yun aapas may mil gayay 2 dil
kuch zara kaam na aai saari hushiyaari reh gai


ajab jazbaat say us nay jo pukaara: MANA!!
haya ankho me aur chehre pe sharm-saari reh gai


+92 300 2711 588
+92 333 9968 674


~ Tum Bin ~





No comments: